Munawwar Rana


मैं लोगों से मुलाकातों के लम्हे याद रखता हूँ 

मैं लोगों से मुलाकातों के लम्हे याद रखता हूँ 
मैं बातें भूल भी जाऊं तो लहजे याद रखता हूँ 

सर-ए-महफ़िल निगाहें मुझ पे जिन लोगों की पड़ती हैं 
निगाहों के हवाले से वो चेहरे याद रखता हूँ 

ज़रा सा हट के चलता हूँ ज़माने की रवायत से 
कि जिन पे बोझ मैं डालू वो कंधे याद रखता हूँ 

दोस्ती जिस से कि उसे निभाऊंगा जी जान से 
मैं दोस्ती के हवाले से रिश्ते याद रखता हूँ 
मुनव्वर राना 

------------------------------

Main Logon Se Mulaqaton Ke Lamhe Yaad Rakhta Hoon

Main logon se mulaqaton ke lamhe yaad rakhta hoon 
Main baaten bhool bhi jaaun to lehje yad rakhta hoon

Sar-e-mafil nigaahen mujh pe jin logon ki padti hein
nigahon ke hawale se wo chehre yaad rakhta hoon

Zara sa hat ke chalta hoon zamane ki rawayet se
ki jin pe bojh main daaloon wo kandhe yaad rakhta hoon

Dost  jis se ki usay nibhaunga jee jaan se
Main dosti ke hawale se rishte yaad rakhta hoon
Munawwar Rana

Post a Comment

 
Top