Bahaut Din Ho Gaye Shayad, Kinara Kar Liya Usne,
Hamare Baad Bhi Aakhir, Guzara Kar Liya Usne,
Hamara Zikar To Us Ke, Labon Pe Aa Nahin Sakta,
Hamein Ehsas Hai Ham Se... Kinaara Kar Liya Usne,

Suna Hai Ishq Bhi Ab Toh, Dobara Kar Liya Usne,
Suna Hai Gair Ki Bahon, Ko Wo Apna Samjhta Hai,
Ye Lagta Hai Mere Dukh Ko, Gawara Kar Liya Usne,
Bhula Kar Pyar Ki Kasmein, Wo Wade Tor Kar Hamse...
Kisi Aur Ko Zindagi Se Bhi Pyara Kar Liya Usne

Post a Comment

 
Top