Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Khushion Ka Khazana Hota Tha,
Chahat Chaand Ko Paane Ki
Dil Titli Ka Deewana Hota Tha,
Rone Ki Wajha Na Hoti Thi
Hasne Ka Bahana Hota Tha,
Khabar Na Thi Kuch Subho Ki
Na Shamo Ka Thikana Hota Tha,
Daadi Ki Kahani Hoti Thi
Pariyon Ka Fasana Hota Tha,
Pedo Ki Shakha Chute The
Mitti Ka Khilona Hota Tha,
Gham Ki Zuban Na Hoti Thi
Na Zakhmo Ka Paymana Hota Tha,
Barish Mein Kagaz Ki Kashti
Har Mousam Suhana Hota Tha,
Wo Khel Wo Sathi Hote The
Na Rishta Koi Nibhana Hota Tha,
Aisa Wo Bachpan Ka Zamana Hota Tha
Jahan... Khushion Ka Khazana Hota Tha.
Post a Comment