Baat Niklegi To Phir Dur Talak Jayegi

Log Bewaja Udasi Ka Sabab Pochhenge
Ye Bhee Pochenge Ke Tum Itne Pareshan Kyo Ho

Ungliyan Uthenge Sukhay Huye Balo'n Ki Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Salon Ke Taraf

Chooriyon Par Bhi Kai Tanz Kiye Jayenge
Kaanptay Hathon Pe Bhi Fikre Kasay Jayenge

Log Zalim Hain Har Bat Ka Tanaa Denge
Baton Baton Mein Mera Zikr Bhi Le Ayenge

Unke Baton Ka Zara Sa Bhi Asar Mat Lena
Warna Chehre Ke Tasur Se Samajh Jayenge

Chaahay Kuchh Bhi Ho Sawalaat Na Karna Unse
Mere Baaray Mai Koi Baat Na Karna Unse !

Baat Niklegi To Phir Door Talak Jaayegi

Post a Comment

 
Top