Khud Ko Kirdaar Se Ojhal Nahi Honay Deta
Wo Kahaani Ko Mukammal Nahi Honay Deta
Sang Bhi Phainkta Rehta Hai Kaheen Saahil Se
Aur Paani Mein Bhi Halchal Nahi Honay Deta
Kaasa-e-Khwaab Se Taabeer Utha Leta Hai
Phir Bhi Aabaadi Ko Jangal Nahi Honay Deta
Dhoop Mein Chhaon Bhi Rakhta Hai Saron Per, Laikin
Aasmaa.n Per Kahee.n Baadal Nahi Honay Deta
Abar Bhi Bhejta Rehta Hai Sadaa Basti Mein
Gali Koocho.n Mein Bhi Jal Thal Nahi Honay Deta
Roz Ek Leher Utha Lata Hai Be-Khwaabi Ki
Aur Palkon Ko Bhi Bojhal Nahi Honay Deta
Phool Hee Phool Khilata Hai Sar-e-Shaakh-e-Wajood
Aur Khushboo Ko Musalsal Nahi Honay Deta
Aalam-e-Zaat Mein Darvaish Bana Deta Hai
Ishq Insaan Ko Paagal Nahi Honay Deta
Post a Comment